Is Duniya mein Sabko Jeene ka Adhikaar hai
To Phir Kyun Uthaya Insaan Ne Hathiyaar Hai
Kyun Behta hai Khoon Sampradayik Dango Mein
Kyun Dharm ke naam Dehshat failaya hai Tum Lafango Ne
RaqtDaan Karo to Kisiko Zindagi Milegi
Kisi ka Rozgaar chalega to kisi Ke aangan mein Khushi Khilegi
Nek Kaam karoge to har Bashinde ko Tujh par Naaz Hoga
Hathiyar Uthana Hai to Desh ke liye Utha to Arbaaz Hoga
Mere aur tere Khoon mein daag Lal hi Lagega
Par har shaks mujhe shaheed aur Tujhe Atankwaadi Kahega
Dus Aam Aadmi ko maarke maroge to apne Sangathan ke beech Shaheed Kehlaoge
Dus Apne Sanghatan Ke maaroge to Karodon mein aatmsamman Paoge
Socho maine Jo Sab kaha Hai
Tumhare karan Mujh Jaise kayion ne Saha Hai
Is dehshadgardi ka shikaar kahin koi tumhara na ho jaye
Bheed mein koi apna hi kabhi kahin kho na jaye
Banddok se nikli goli ke dard gawara hoga tumhe
Par apno ke khone ka Gum shayad Na seh paoge
Us din shayad yakin ho jayega tumhe bhi
Aur tum bhi dehshatgard ko mitaane ki kasam khaoge
Guzarish hai tumse ki us din ka intezaar na karna
Aur kayi masoom ko na pade atankwaad ke saye mein marna
Kasam Khao ki tum uthaoge Banddok Desh ke liye
Bandook chalegi to bhi Dehshat mitaane ke liye
Matrabhoomi ke Hith mein ho sake to ho jaoge Qurbaan
Ataanwaad kabhi na pasrey aur nahi jaye ab kisi masoom ki Jaan
Ataanwaad kabhi na pasrey aur nahi jaye ab kisi masoom ki Jaan !!!!
No comments:
Post a Comment