Thursday, March 18, 2010

Udaas Mann

Charon Trafa Raat hi Raat aur ek Ajib si Nami Hai
Koso meel door baitha ye Dil kehta hai ki aaj unki Kami Hai

Mana mana kar thuk gaya hun main is dil ko
Ki wo ab meri nahi rahi
Par Ye pagal dil hai jo jan ke bhi anjaan hai
Kehta hai Wo shaks koi aur ho hi nahi sakta wo Humi Hai

Kos bhi to nahi sakta is nadan dil ko main
Kyunki Ye jaankar ki wo meri nahi rahi
Uski Aahat yahi kahi mere aas paas thumi hai

Ha ab to ye alam ki Na zindagi mili na humein wafa mili
Is Anjaan shehar mein khushi bhi humse khafa mili
jhooti muskaan dikhaye doston se dard ko chipaye baitha hun main
socha dil laganey ki itni badi kyun humein saza mili

Sochta hun ki kaash ujala hi ujala hota
Na Dopahar aur Nahi ye Raat Hoti
Aur Na hi Kabhi Khwaab Hotey Aur Nahi
Kabhi Khwabon Mein Unse Mulaqat Hoti

Par Kusurwaar to saara Ye Andar Baitha Dil Hai
Kaash Ye hi Na Hota To Shayyad Ye Baat hi Na Hoti !!!

----Avaneesh Jha

No comments:

Post a Comment