Thursday, March 18, 2010

Udaas Mann

Charon Trafa Raat hi Raat aur ek Ajib si Nami Hai
Koso meel door baitha ye Dil kehta hai ki aaj unki Kami Hai

Mana mana kar thuk gaya hun main is dil ko
Ki wo ab meri nahi rahi
Par Ye pagal dil hai jo jan ke bhi anjaan hai
Kehta hai Wo shaks koi aur ho hi nahi sakta wo Humi Hai

Kos bhi to nahi sakta is nadan dil ko main
Kyunki Ye jaankar ki wo meri nahi rahi
Uski Aahat yahi kahi mere aas paas thumi hai

Ha ab to ye alam ki Na zindagi mili na humein wafa mili
Is Anjaan shehar mein khushi bhi humse khafa mili
jhooti muskaan dikhaye doston se dard ko chipaye baitha hun main
socha dil laganey ki itni badi kyun humein saza mili

Sochta hun ki kaash ujala hi ujala hota
Na Dopahar aur Nahi ye Raat Hoti
Aur Na hi Kabhi Khwaab Hotey Aur Nahi
Kabhi Khwabon Mein Unse Mulaqat Hoti

Par Kusurwaar to saara Ye Andar Baitha Dil Hai
Kaash Ye hi Na Hota To Shayyad Ye Baat hi Na Hoti !!!

----Avaneesh Jha

Majnu Ki Halat

उनपे मेरा दिल क्या लूटा मैं तो लूट ही गया
एक 1.50 रुपये की कटिंग छाई पीता था वो भी अब छूट ही गया

अब आलम ये है की मैं ज़िंदा लाश की तरह रह गया हूँ
उधार की बाढ़ में मैं कोसो दूर तक बह गया हूँ

प्यार करने की इतनी बड़ी सज़ा मिलेगी ये सोचा ना था
एक सॉफ्टवेर इंजिनियर को इस खाली जेब ने इतना नोचा ना था

ये सब शुरू हुआ तीन साल पहले जब वो मेरी कंपनी इंटरव्यू देने आई थी
उसको देखते ही मॅन में मैने ख़याली पुलाओ पकाई थी

बड़ी हितचकिचाहट से मैने उनसे बात चलाई थी
उनकी हर ना में भी हुमने हाँ में हाँ मिलाई थी

बातो का सिलसिला यूँ चला की करीम चाचा का होटेल आशियाँ बन गया
ऑफीस के बाद तो वो हमारे मुलाक़ातों का एक मुकाम ही जैसे बन गया

पर कम्बख़त इन लड़कियों को जेब से जाता पैसा टॉम क्रूज़ नज़र आता है
जितना ज़्यादा बिल आए उतना ही इनका चेहरा खिलखिलता है

इस केस में तो वो मुझे से ज़्यादा कमाती थी
अपना छोड़ मेरा भी महीने की आधी सॅलरी खा जाती थी

जल्द ही दोस्तों से उधारों का सिलसिला शुरू हो गया
प्यार में लूटने वालों की भीड़ का मैं एक गुरु हो गया

लोग तो भोज में पंगत खाते हैं मैं तो अभी से खा रहा हूँ
हर दूसरे दिन ही मैं पंगत खाने कोई ना कोई मंदिर जा रहा हूँ

इस लूटे इंसान को लूटनेवाले ने जल्ढी अलविदा कह दिया
मैने ये ग़लती डूबरा ना करने की कसम खा वो दर्द सह लिया

लोग बिछड़ने पे मातम मानते हैं पर मैं खुशी माना रहा हूँ
ये शुभ काम मैने पहले क्यूँ नही किया इसका गम बना रहा हूँ

मजनुओ मेरी इस हालत की एक ही वजह है और वो है एक नारी
पुरुष समिति की ओर से जनहित में जारी

Bewafa Dost

Na Jaane unko kya ho gaya
Avaneesh Naam unke Directory mein kahin Kho Gaya
shayad Ladkiyan aise hi hoti hain
Roz Naye dost banate aur puraano ko khoti hain

Main Itna Bura bhi nahi ki log mujhe Ignore karte rahein
Kachre ke dabbe k saman hath gande na ho jayein ye soch Darte Rahein
Main tab bhi waisa tha jaisa aaj hun
shayad kabhie na badalne wala main koi saaz hun

Bhulna hai to wajah bata k bhul jao ae dost
Mera bhi Ye wada raha ki khafa na hounga main kabhie
Par main hus ke hamesha "Hi" bolunga zarror
Gar is bheed bhari raah mein tum humein mil jao kabhie

-----Avaneesh Jha

College Days !!

Ek bar wapas College Lautne ko man karta hai
Firse Doston ke sath beetey har pal bantne ko mann karta hai

Aaj har wo purani baat yaad aati hai
Kuch chehre pe khushi to kuch rula jaati hain
Kuch Tabki buri batein , ab acchi lagti hain
Aur kuch batein mano kal ki hi batein lagti hain

Fir examinations forms bharne ko mann karta hai
Ek bar wapas College Lautne ko man karta hai

abki baar bunk k bijaye college attend karne ka mann karta hai
Dopahar ki class mein fir aakhen band karne ka mann karta hai
Traditional day mein dhol dhadaka yaad ata hai
To kabhi padhai ke beech apne crushes ka tootna yaad ata hai

EDC Mechanics ke khayal se darne ka mann karta hai
Ek bar wapas College Lautne ko man karta hai

Wo results ki afwaon se Newspaper agencies mein line lagana
To agli subah University ki dhakkon mein khud ka result pana
Exam ke time pe subah 4 baje shankar nagar ke pohe khana
Farewell pe DP mein doston ke sath Ice goley khana

Firse Seniors ko Farewell dene ka mann karta hai
Ek bar wapas College Lautne ko man karta hai

----Avaneesh Jha (Theme extracted from Similar poems)

Saturday, March 6, 2010

Date

With lots of courage and guts I said i Love "U"
You flushed all my guts by saying You like another vowel "A"

I tried to make most of it by taking you on a "Date"
You again turned it down by saying its too "Late"

I fail almost Every time I try to Flirt
You remove possibilities like some one removes from his shirt, some Dirt

You say you have others in your Heart
Thats why No space for me in your Chart

One day will come when everyone will repend
Then me too will say Sorry didnt get your request can you again Send

I took her on Date But she made my emotions Sick
I asked her hows date and she said its not Date as its Quick

I asked her to take some good Iced coffee to make Date Cool
She said okie and ordered coffee and that too Hot one making me fool

Weather was lovely to make her feel romantic
But everything sink and wasted as if it was a titanic

A lady without any Talent gets away with a Kiss
And a Handsome guy like me with Talent goes away with Tai Tai Fiss

I asked her to come to Cafeteria to Hang Up
She said enough chat if possible Ring me Up

Its Men who approaches lady is what she told
My emotions was again fainted by keeping me on Hold

later she says She cannot come and cannot Hear
I guess I m wasting My Time and should find another Dear....!!!!! ----Avaneesh Jha

Auto Bio Graphy

Weekend pe Akela Baitha hun Main
Har Pal Puraani Baatein Soch Gata hun
Zindagi Ke Har Kasht Ko Yaad Karke
Aaj Khud ko Ajoobey mein Pata hun

Pune Ki Sadko Mein Tapri Mein Khane Wala Wada Pav Main
Aaj Singapore mein Pizza Aur Burger Khata hun
Bus ki Dhakke Kha Kha ke Jo Kul office Jata Tha
Aaj wahi Comfort Taxi ya MRT se Jata Hun

Sach...Zindagi Ke Har Kasht Ko Yaad Karke
Aaj Khud ko Ajoobey mein Pata hun

Har Weekend mein Bus Se Pune to Nagpur Jane Wala Main
Ab Har Weekend Dusri Desh Flight Se Jata hun
Kal Tak Sochta Tha Kabhi To Khud Ka Business Kholunga
Aaj Jagah Jagah Ja Company K Liye Business Lata hun

Sach...Zindagi Ke Har Kasht Ko Yaad Karke
Aaj Khud ko Ajoobey mein Pata hun

Do Waqt Ki Roti bhi Mushkil Se Milti Thi Un Dino
Aaj Kis Hotel mein Khaun Ye Samajh nahi Pata hun
Fatey Baniyan Dekh Padosi Chidhatey They Mujhey
Aaj Wardrobe mein Rakhey Har Kapde Main Pehen Nahi pata hun

Sach...Zindagi Ke Har Kasht Ko Yaad Karke
Aaj Khud ko Ajoobey mein Pata hun

Pocket Money ke abhaav se College Canteen na Jaane wala main
Aaj Dar roz Tcc ya Coffee Shop mein Gappe Ladata hun
Chocltae ka ek ek Rupaye Bachane Wala main
Aaj Har roz Dollars mein Paise Udata hun

Sach...Zindagi Ke Har Kasht Ko Yaad Karke
Aaj Khud ko Ajoobey mein Pata hun

Mushkilon ki Chav bhi Na Pade Doobara
Is layak Khud ko Bana dena Chahta hun
Mere Apno Ke Sapne Sirf Sapne Na Reh Jayein
Unko Hakikat mein Tabdeel Karne ki Kasam Main khata hun

Sach...Zindagi Ke Har Kasht Ko Yaad Karke
Aaj Khud ko Ajoobey mein Pata hun...!!!

---Avaneesh Jha(When in Singapore)

Dard - E - Disco

Ek Macchar ne mere dil pe aisi chot lagayi hai
Ki Meri apni bivi hi mere liye aaj parayi hai

Hua yun ki vo meri biwi ke gaal k taraf badhe they
Aur maine poori taakat se hath un par jade they

Vo to janaab ek hi vaar mein Mur gaye
Par uska anjaam dekh hum buri tarah darr gaye

Abhi tak to Belan se padti thi
Aaj balle se padi
Roz do maarti thi
aaj usne hampe chaar jadi !!!

Is Half cm ke Patthu ne Aisi Vat lagayi hai
Ki Peeth mein Chaar to Pair(legs) mein Aath Lagayi hai !!!

Ab to shahrukh ki tarah main bhi keh raha–

Wo Do Foot ki thi Wo Chadi
Poorey Badan pe mere aisi Padi
Neend bhi Aankhon se cheen li hai
Dil mein sansani bhi hai badhi
Ab chal na paon uth na paon baith na paon
ye samjhaon main kis kis ko

Body mein mere hai Dard e Disco Dard E Disco Dard E Disco !!!
--- Avaneesh Jha